ஜ●▬▬▬▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬▬▬▬●ஜ
Karke shabar jo hamne ranz-o-alam uthaali!!
Bas hogayi bahut jo jiyada ya kam uthaali!!
Gujri jo kaum par hai vo dastaan sunkar,,
Dil me junoon hamne aankho me nam uthaali!!
Tadpi hai kaum pal pal saaye me jaalimo ke,,
Kuchh kar saka na koi dil ne sharam uthaali!!
Dekar fareb hamko chheena jo haq hamaara,,
Haq ke liye ladenge hamne kasam uthaali!!
Karna hai khatam ab to jaalim-o-julm ko hi,,
Insaaf ki ye parcham hamne alam uthaali!!
Aaya jo waqt muskil is kaum is watan par,,
Talwaar rakh ke hamne apni kalam uthaali!!
AFROJ-e-zindagi ka anjaam chaahe jo ho,,
Peechhe na hat sakegi ab jo kadam uthaali!!
ஜ●▬▬▬▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬▬▬▬●ஜ

No comments:
Post a Comment